Saturday, July 2, 2016

ThE imPorTancE YoU stOle AwaY


Hume kya pata tha zindagi yu tham si jaaygi humari
Saans bhi apni aahat dheere dheere kam yu karti jaaygi

Rukna toh hume bhi pasand nhi par
Tum kya chali gayi......hume kya pata tha iss dil se jeene ki chahat bhi chali jaaygi

Friday, July 1, 2016

The BurdOn of yoUr lOve

                                   
Har lafz me aawaz hai chupi iss dil ki........ 
Baaton par likhi hai kahaani kisi dil ki......... 
Bekhabar hum jeeye jaa rahe......... Tumse door raaton ko din kiye jaa rahe.....  
Ankahi aawazon ko naam diye jaa rahe....... 
Jaha koi milta nahi............ Waha tumhare aks ko dhundhe jaa rahe hai... 

PyAar hoGa kAbhi iSs tarAh Se

                           Pyaar Hoga Kabhi Iss Tarah

Laga naa tha pyaar hoga kabhi phirse....... 
Iss naye sheher me koi apna lagega iss tarah se.. 
Ki mit gayi wo khaamiya jo kabhi hua karti thi mujhme. 
Naa jaane aaj kiyu phr acha banna chahta hu mai apni hee nazro me.. 
Rukne ka iraada naa tha kabhi pr jaise tham gya mai usse milke
Dil ka toh pataa nhi par dhadhkan wapas mili usse milke
Aksar yuhi khayalo me uske bekhabar hone laga.... 
Waqt kuch aur tha par phir bhi uska hone laga... 
Naa jaane kyu mjhe phirse jeene ka mann krne laga... 
Uske liye ab ye dil hai dhadhakne laga... 
Socha naa tha par shayd mujhe uske liye yaha bheja gya... 
Laga naa tha pyaar hoga kabhi par naa jaane kyu tumse hone laga....